Ajnabi
Number of posts : 5345 Age : 40 Location : In Hearts Registration date : 2007-06-30
| Subject: Qurbaton mein bhi judaii Sat Sep 01, 2007 6:06 am | |
| Qurbaton mai b Juda'ee ke Zamane mange
Dil wo Be-Mehr ke Roney ke Bahaney mange
Apna ye Haal ke Dil Haar chuke, Mitt bhi chuke
Aur Mohobbat wo hi Andaaz Puraane mange
Hum na hotey to kisi aur ke Charchey hotey
Khulqat-e-Shehr to Kehney ko Fasaney mange
Ye hi Dil tha ke Tarasta tha Marasim ke lye
Ab ye hi Tark-e-Talluk ke Bahaney mange
Mai wo Mehroom ke, jese koi Weerana hoon
Tuu wo Khush-fehm, Kharabon se Khazaney mange
Zindagi Hum Tere DaghoN se rahe Sharminda
Aur Tuu hai ke Sada Aaina khaney mange
Dil kisi Haal per Maaney hi nahin Jaan-e-"Faraz"
Mil gaye Tum bhi to kya aur na jaane mange | |
|
Miss Ashraf
Number of posts : 1567 Location : BaBuL ka AanGaN Registration date : 2007-06-30
| Subject: Re: Qurbaton mein bhi judaii Sun Sep 02, 2007 9:00 am | |
| Zindagi Hum Tere DaghoN se rahe Sharminda
Aur Tuu hai ke Sada Aaina khaney mange
Greaaaat Poem By Faraz Uncle ...
Thanksss for Shairing .......! | |
|
~Haya~
Number of posts : 3306 Location : ~Chand par~ Registration date : 2007-08-03
| |
waqar hussain Best Friend
Number of posts : 1572 Registration date : 2007-11-14
| Subject: Re: Qurbaton mein bhi judaii Sat Nov 17, 2007 8:30 pm | |
| ~*~*~ Bohaat zabardast janab ~*~*~
~*~*~ Nice and lovely sharing ~*~*~
~*~*~ keep it up and TFS ~*~*~ | |
|
Sponsored content
| Subject: Re: Qurbaton mein bhi judaii | |
| |
|