Hai dua mager harf-e-dua yaad nahi
mere naghmaat ko andaz-e-nawa yaad nahi
humne jinke liyeh raahon mein bichaya tha lahu
humse kehte hain wahi ehd-e-wafa yaad nahi
zindagi jabr-e-musalal ki tarhan kaati hai
jane kiss jurm ki payi hai saza yaad nahi
meinne palkon se dayar pe dastak di hai
mein woh saayil hoon jise koi sada yaad nahi
kaise bhar aayyin sar-e-sham kisi ki ankhein
kaise tharrayi charaghon ki ziya yaad nahi
sirf dhunlate sitaron ki chamak dekhi hai
kon hua kab hua kiss se khafa yaad nahi
aao ek sajda karein aalam-e-madhoshi mein
log kehte hain hum ko khuda yaad nahi
~*~......... ......~*~