[color=indigo]Tou ne daikha hai kabhi aik nazar shaam k baad
Kitne chup chaap se lagte hain shajar shaam k baad
Itne chup chaap k raaste bhi rahain ge la-ilm
Chorr jyen ge kisi roz nagar shaam k baad
Main ne aise hi gunah teri judai main kiye
Jaise toofan main koi chorr de gher shaam k baad
Shaam se pehle wo mast apni uranon main raha
Jis k haathon main thay tootay huwe per shaam k baad
Raat beeti to gay aablay aur phir socha
Kon tha baais-e-safer shaam k baad
Tou hai sooraj tujhe kya maaloom shaam ka dukh
Tou kisi roz mere gher main uter shaam k baad
Laut aaye na kisi roz wo awara mizaaj
Khol rakhte hain isi aas pe der shaam k baad ( Farhat Abbas Shah)[/color]