Mujhay achi tarha maloom hai
tera kahein raastoon mein aa milna mumkin nahi
in raaston ne --- ju juda likhey hein hum ne khud apney hi haathon se
humara behir tu kheri hazaaron faasloon ki tae
humary paaon bundhy hai
mujeh yeh bhi khabur hai
tu wahaan per bhi nahi hoga
sulughti dhoop ki rut mein
ghari do bhur kharey rehne ka jahaan tuk irada tha
keh ub tuk sooch mein fitri taqaazey such nahi hote
iradey jhoot hote hein
mujeh yeh bhi pata hai
hum ana ke maur per bichurey howe hein
aur zameenon per kahein aisi guzar gaa rahein nahi hein
ju kabhi is moour per bichurey howe logon ko phir se laa milati hein
mujeh maloom hai sub kuch mujeh maloom hai lakin
NAH JAANEY KYUN MAIN PHIR BHI ROOZ TUJH KO DHOONDHNEY GHUR SE NIKULTA HOON .....