What is a flower without the sun, what is the earth without the sky. What am I without you, that is why I tell you , I love you
==
Love is like war,Easy to start,Defficult to end,Imposible to forget...
==
wonder if i,gonna find a soul mate who can fit the size off my soul which is 10sqkm of true love,20sqkm of honest,30sqkm of sense of humour,20sqkm of devotion and 30sqkm of kindeness the sum
==
sk my eyes to stop looking at you... Ask my brain to stop thinking about you.. Ask my imagination to stop dreaming about you.. Ask my heart to stop beating..ask me everything..But don't u ever stop me from loving you
==
do u knw wat iz difference b/w u n blood,Blood enters di heart n leaves But u enterd di heart n stay there for ever.....
==
never take someone for granted.Hold every person close to your heart because you mightwake up one day and realise that you've lost a diamond while you were too busy collecting stones
==
haal-e-dil main ne jo duniyaa ko sunaanaa chaahaa
mujh ko har shaKhs ne dil apanaa dikhaanaa chaahaa
apanii tasviir banaane ke liye duniyaa main
main ne har rang pe ik rang charhaanaa chaahaa
Khaak-e-dil jauhar-e-Aaiinaa ke kaam aa hii gai
laakh duniyaa ne nigaahon se giraanaa chaahaa
sholaa-e-barq se gulashan ko bachaane ke liye
main ne har aag ko siine main chhupaanaa chaahaa
apane aibon ko chhupaane ke liye duniyaa main
main ne har shaKhs pe ilzaam lagaanaa chaahaa
Gairat-e-mauj use phenk gai saahil par
Duubane vaale ne jab shor machaanaa chaah
==
Teri yaadon
ke bina koi lamha guzaara nahin
Ek pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin
Meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
Agar aap jeete hain to main haara nahin
Ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
Maine abhi aapka gam dil se utaara nahin
Tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
Kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin
Kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
Aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin
Kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
Is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin
Mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
Gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin
Wo aa ke poonchh den Aansu hamari Aankhon se
Itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin
==
Yaad mein teri jahan ko bhool jaata hoon mein…
Oh bhoolnewale, Kabhi tujko bhi yaad aata hoon mein ?
Jitna masoom hoon mein aapse bichhadkar ,
Itnee siddat se to aapne muje chhaha bhee nahi
==
ashk
aaNkhon main kab nahiin aataa
lahuu aataa hai jab nahiin aataa
hosh jaataa nahiin rahaa lekin
jab vo aataa hai tab nahiin aataa
dil se ruKhasat huii koii Khvaahish
giriyaa kuchh be sabab nahiin aata
ishq kaa hausalaa hai shart varnaa
baat kaa kis ko dhab nahiin aataa
jii men kyaa kyaa hai apane ae hamdam
har suKhan taa ba lab nahiin aataa
==
tum merii aaNkh ke teyvar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aauuNgaa
ham ne Khushiyon kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe
safaah-e-ziist ko palToge to yaad aauuNgaa
isii andaaz main hote the muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aauuNgaa
sard raaton ke mahakate hue sannaaTon main
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aauuNgaa
ab tere ashk main honThon se churaa letaa huuN
haath se Khud inhen ponchhoge to yaad aauuNgaa
shaal pahanaayegaa ab kaun disambar main tumhen
baarishon main kabhii bhiigoge to yaad aauuNgaa
aaj tum mahafil-e-yaaraaN pe ho maGaruur bahut
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aauuNgaa
haadase aayenge jiivan main to tum hoke niDhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aauuNgaa
is main shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aauuNgaa
==
mujh
main jo kuchh achchhaa hai sab us kaa hai
meraa jitanaa charchaa hai sab uskaa hai
us kaa meraa rishtaa baraa puraanaa hai
main ne jo kuchh sochaa hai sab us kaa hai
merii aaNkhen us kii nuur se roshan hain
main ne jo kuchh dekhaa hai sab us kaa hai
main ne jo kuchh khoyaa thaa sab us kaa thaa
main ne jo kuchh paayaa hai sab uskaa hai
jitanii baar main TuuTaa huuN vo TuuTaa thaa
idhar udhar jo bikharaa hai sab us kaa hai
==
Bichar bhi to
ham bas kal parson
Jioon ga main kaise, is haal mein barson
Maut na aayi teri yaad kyon aayi
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Honthon pe aaye meri jaan duhai
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Ek to sajan mere paas nahin re
Duje milan di koi aas nahin re -2
Uspe yeh sawan aaya -2
Aag lagaayi, hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Toote zamaane tere haath nigode, haath nigode
Dil se dilon ke tune sheeshe tode, sheeshe tode
Hijr ki oonchi, hijr ki oonchi deevaar banaayi
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Baag ujad gaye, baag ujad gaye khilne se pehle
Panchhi bichhad gaye milne se pehle -2
Koyal ki kook, koyal ki kook ne hook uthaayi
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Honthon pe aaye meri jaan, duhai
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai ..
==
Jaane Woh Kaise
Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila
Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila
Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath
Kisko fursat Hai Jo Thamey Deewane Ka Haath
Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila
Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge
Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge
Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila ..............