Saba ka naram jhonka bhi taazyana hua
Ye war mujh pe hua bhi tou ghayebaana hua
Ussi ne mujh pe utthaye hain sang, jis keliye
Mein paash paash hua, ghar nigar khana hua
Jhulas raha tha nafas garmi-e-badan se magar
Terey khayal ka khurshid shaamyana hua
Khud apne hejer ki khwahish mujhey aziz rahi
Ye tere vasal ka qissa tou ek bahaana hua
khuda ki sard mizaaji sama gayi mujh mein
Meri talaash ka sauda pai’mbaraana hua
Mein ek shajar ki tarha rehguzar mein tehra houn
Thakan uttar ke tu kis taraf rawana hua
Wo shakah jis keliey shayer ke raha houn naseer
Ghazal sunaaye uss ko ek zamana hua