Muskaan
Number of posts : 4935 Age : 35 Location : ~Home Sweet Home~ Registration date : 2007-07-08
| Subject: ~*~ Bachay ki Aaas ~*~ Wed Oct 24, 2007 10:53 pm | |
| ~*~ Bachay ki Aaas ~*~ Sheeshe Ke Uss Paar, Sadak Ke Kinaare Dekhta Hoon, Bachche Hanste Muskurate
Kaandhon Pe School Ka Basta Liye Hue Kabhi Daudte Hue, Kabhi Shor Machaate
Kabhi Koi Zid Karte Hue Maa Baap Se Kabhi Chupchap Unki Ungliyaan Thaame
Aate Hue, Jaate Hue Dikhte Hain Roz Hotel Ke Sheeshe Ke Iss Paar Se Mujhe
Din Shuru, Raat Khatm Hoti Hain Yahin Mez Se Logon Ke Joothe Bartan Uthaate
Kabhi Daant To Kabhi Patkaar Sunte Hue Kabhi Kisi Gahak Ki Gaaliyaan Khaate
Iss Hotel Ke Bahar Kya Kabhi Aaunga Sochta Hoon Kai Baar Sadak Ko Dekhte
Haathon Main Khilaune Aaye Nahin Kabhi Dekha Hai Inhe Maine Bas Bartan Uthaate
Kyun Uper Walay Ne Banaya Hai Mujhe Aisa Nahin Hain Maa Baap, Jo Pyar Lutaate
Main Bhi To Ek Chota Sa Bachcha Hoon Kyun Nahin Rehta Main Hanste Muskuraate | |
|
Khushboo
Number of posts : 7996 Location : Venus Registration date : 2007-07-25
| Subject: Re: ~*~ Bachay ki Aaas ~*~ Thu Oct 25, 2007 5:07 am | |
| Oh so touching sis...har insaan apni kismat lekar aata hai..kuch imtehaan insaan par bahut bhaara par jaate heiN.. | |
|
waqar hussain Best Friend
Number of posts : 1572 Registration date : 2007-11-14
| Subject: Re: ~*~ Bachay ki Aaas ~*~ Sat Nov 17, 2007 11:05 pm | |
| | |
|
Sponsored content
| Subject: Re: ~*~ Bachay ki Aaas ~*~ | |
| |
|