ApniAwaz Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


A Place To Be Proud Of - An Opportunity To Get-To-Gether In A Family & Friendly Atmoshphare
 
HomePortalGalleryLatest imagesRegisterLog inGames

 

 Pachtawa...

Go down 
3 posters
AuthorMessage
~Haya~

Pachtawa... Stars6
~Haya~


Female
Number of posts : 3306
Location : ~Chand par~
Registration date : 2007-08-03

Pachtawa... Empty
PostSubject: Pachtawa...   Pachtawa... Icon_minitimeSat Oct 06, 2007 12:17 am

Wo Sahil se mili thi pichle saal, dekha use to uski ankhoon main woh sapne bhi dikhai diye jo uski chahat main sadiyoon se sajaye phirta tha.
Woh khwaboon ki deewani ladki, donya ke sath apne mehboob se bohot door nikal gai thi, ikk esi haqiqat ko jhutla kar jine lagi thi jis ke lye woh aj tak jiti ai thi. Apne sapnoon main apne mehboob se mila karti thi magar banjara kahan khwab gharoon main reh sakta tha.
Woh sanwali si pagal ladki sab kuch pa lena chahti thi, izzat, status sab kuch jis ke lye usne apne mehboob ko bhi chodh dya. Is zidd ko usne ek naam dya, DHOKA jise aap sab jante ho. Donya ke shor main who bhi bin paroon ke udny lagi thi, chahe jane ki khowahish main. Who Sahil se nafrat karne lagi thi use anjana samajhne lagi thi bas isi chah main ke sari donya main woh kamyab bane magar kya kisi ko yoon hara kar jitna bhi kya jitna hai?

Dil hai pagal dil ka etbaar na kareen
Dil hai pagal dil ka etbaar na kareen
Keh do koi is donya main pyar na kare
Keh do koi is donya mian pyar na kare


Woh suhani jheel ke kinare milna woh ek dosre ke lye tadapna woh har pal ek dosre ki banhoon main pighalne ki tamana jane kahan khak ho gai. Woh har saboh uska intzar karna jahan har rooz na’e din ke suraj ki kunwari kirnein sharmati hoi zameen ke sine se lag kar apna aap gunwa beth’ti hain. Kabhi wahan door tak jane ki khwahish jawan thi jahan pyar ke siwa kuch na ho magar yahan sab kuch raha magar pyar hi na raha.

Milan ke un bay’ikhtyaar lamhoon main ye bhi na jana ke jane ye milna likha bhi hai taqdeer main ya nahi. Bas ek bharosa kya, etbaar kya magar koi wada na lya.
Sahil khatam ho raha tha, ab uske paas zindagi ka koi nishaan baqi nahi tha uski zindagi ka soraj bhi ahista ahishta bujh raha tha sham ho rahi thi aur woh shaam achanak kali raat main kab badli pata hi na chala sahil Sana ka intzar karte karte bujh gya. Pachtaya to bohot ke pyar kyon kya kyon ese kisi ka intzar kya kyon kisi par etbaar kya….


Bohot azmaya zindagi main tumne
Kitna rulaya ashiqi main tumne
Humne umidein tumse lagai
Badle main tumne di bewafai
Kal bhi tumhe dil yaad karta tha
Aj bhi tumhe dil yaad karta hai
Tum samajh na pa’e tum samajh na pa’e
Dil mera dil na mane kya karoon kya karoon


Saal gozarne lage waqt hamesha ki tarah ahista ahista muthi se phislta raha. Din haftoon main hafte mahinoon mian aur mahine saloon main badalne lage, Sana jo Sahil ko jane kab ka bhool gai thi achanak khwab ke jharoke ne use bedar kar dya. Uska sahil use bula raha tha magar sirf khwab main. Sana jisne sirf Sahil ki hone ka fesla sunaya tha baqi sab ki rahi magar uski na ho saki magar ab who sab kuch kho kar Sahil ko pa lena chahti thi usi sahil ko jiske sath usne usi jheel ke kinare hathoon main hath thame zindagi ko mehsoos kyat ha bas phir kya tha Sahil ki talash magar kahan talash karti use Sahil to us jagah chup kar betha tha jahan use koi talash nahi kar sakta tha. Wohi Sahil jise khwab ke gharoon main rehna pasand nahi tha Sana ke khwaboon main rehne laga uski sochoon main palne laga.

Ishq main jo mile beqarari badhi
Cheen a’e nahi ek pal ikk ghadi
Ye na pocho ke ye kesa ehsaas hai
Dard hi dard hai pyas hi pyas hai
Dard hi dard hai pyas hi pyas hai
Apni har dhadhkan ko beqarar na kare
Keh do koi is donya main pyar na kare


Woh status ki deewani ladki jane kahan kho gai, bohot roi bohot bilbilai magar use kaheen Sahil na mila, Sahil milta bhi kese Sahil ke sahil par to maut ke samundar ka pani a chuka tha Sahil to kab ka doob chukka tha. Sana ki sathi uski nani jise Sana sab kuch bata sakti thi woh bhi is donya ko chodh kar chali gai, ab Sana bilkul akeli reh gait hi uska saya bhi uska nahi raha tha. Ek din zindagi se har kar nani ke paas apna rona le kar gai aur wahi use Sahil bhi mila kuch fasle par pada so raha tha. Phir kya Sana apne Sahil ko apne ansoon se uthane lagi magar woh uski pukar par kahan jagne wala tha woh to us se hi roth kar yahan a gya tha. Ab Sana ko ehsaas howa usne kya paya aur kya khoya. Dekhte hi dekhte Sana ki shadi teh ho gai, magar woh to hamesha ke lye kisi aur ki ho kar rehna chahti thi jo ab ho nahi sakta tha. Sana bohot roi bohot bilbilai magar hona to wohi tha jo ho raha tha. Sahil ki yaadein use par pal sata rahi thi, Sana chah kar bhi unse door nahi ja sakti thi woh khodh Sahil ko apni yaadoon main zinda rakhna chahti thi.
Use pachtawa tha jo sune kya magar ab pachtane ka faida bhi nahi reh gya tha jo ho chuka tha use badla nahi ja sakta tha.
Sana ki shadi ka din a gya us raat Sahil uske khwab main aya aur us se pocha ke use kya mila ye sab kar ke, agar sab kuch apni marzi se kya hai to ab kyon ro rahi hai. Sana bohot pachta rahi thi woh Sahil ke ilwaah kisi ko hona bhi nahi chahti thi aur jo ho raha tha us se monh bhi nahi pher sakti thi. Usne bohot chaha woh Sahil ko bhool ja’e magar esa kar na pa’i. Jane kin sochoon main lal joda pehna jane kahan gum thi woh, apne dil ko tola zindagi ko tola aur fesla kya ke who Sahil ke ilawah kisi ko dulhan nahi bane gi aur waheen zeher kha kar dheer ho gai. Sahil jo uske lye sab kuch qurbaan karne ko tyar tha aur apne pyar ki sachai bhi dikha gya Sana ne bhi uske pyar ka dam bhar lya tha.

Faryaad kya kareen hum Kisi dastaan suna’en
Faryaad kya kareen hum Kisi dastaan suna’en
Hum dil se jise chaheen Use kese bhool ja’en
Charoon taraf andhera Khoshiyaan na raas a’en
Hum dil se jise chaheen Use kese bhool ja’en
Back to top Go down
Khushboo

Pachtawa... Stars1
Khushboo


Female
Number of posts : 7996
Location : Venus
Registration date : 2007-07-25

Pachtawa... Empty
PostSubject: Re: Pachtawa...   Pachtawa... Icon_minitimeSat Oct 06, 2007 7:04 pm

Hmmmmmmm....

Faryaad kya kareen hum Kisi dastaan suna’en
Faryaad kya kareen hum Kisi dastaan suna’en
Hum dil se jise chaheen Use kese bhool ja’en
Charoon taraf andhera Khoshiyaan na raas a’en
Hum dil se jise chaheen Use kese bhool ja’en


Aese halaat heiN keya Smile
Back to top Go down
https://apniawaz.forumotion.com
~Haya~

Pachtawa... Stars6
~Haya~


Female
Number of posts : 3306
Location : ~Chand par~
Registration date : 2007-08-03

Pachtawa... Empty
PostSubject: Re: Pachtawa...   Pachtawa... Icon_minitimeSun Oct 07, 2007 1:42 am

Thankx
Khushboo na ji a say halad nahi hai Smile
Back to top Go down
Ajnabi

Pachtawa... Stars1
Ajnabi


Male
Number of posts : 5345
Age : 39
Location : In Hearts
Registration date : 2007-06-30

Pachtawa... Empty
PostSubject: Re: Pachtawa...   Pachtawa... Icon_minitimeMon Oct 08, 2007 11:19 am

halad nahi halaat @ haya

earsmiliy
Back to top Go down
~Haya~

Pachtawa... Stars6
~Haya~


Female
Number of posts : 3306
Location : ~Chand par~
Registration date : 2007-08-03

Pachtawa... Empty
PostSubject: Re: Pachtawa...   Pachtawa... Icon_minitimeFri Oct 12, 2007 3:00 pm

ji ji wohe na
Back to top Go down
Ajnabi

Pachtawa... Stars1
Ajnabi


Male
Number of posts : 5345
Age : 39
Location : In Hearts
Registration date : 2007-06-30

Pachtawa... Empty
PostSubject: Re: Pachtawa...   Pachtawa... Icon_minitimeThu Oct 18, 2007 4:02 pm

haan ab ghalti hoi tu 2 number Cut
Back to top Go down
Sponsored content





Pachtawa... Empty
PostSubject: Re: Pachtawa...   Pachtawa... Icon_minitime

Back to top Go down
 
Pachtawa...
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
ApniAwaz Forum :: 

Bazm-e-Adab & Languages

 :: Adab - Nasar & Kahanian :: Urdu Adab
-
Jump to: