Muskaan
Number of posts : 4935 Age : 35 Location : ~Home Sweet Home~ Registration date : 2007-07-08
| Subject: Bicharne Walay... Thu Jan 03, 2008 4:00 am | |
| Bicharne walay Chalay jo ho to bata k jao Keh kitni shaamein udaas aankhon main kaatni hein Keh kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein Bata k jao Keh kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai Keh kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein Bata k jao keh chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai Bata k jao keh kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke Keh kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein Bata k jao keh panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha Tou kaya kahoon ga? Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga Bichar kay tujh se habib..kis se mila karoon ga Bata k jao keh aankh barsi to kon moti chuna karay ga Udaas lamhon mein dil ki dharkan suna karay ga Bata k jao k mousamon ko payam dene hein ya nahee hain Fallk ko, taron ko, jugnu’on ko salam dene hein ya nahee hain Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyar karna Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho Arooj kiya ho, zawaal kiya ho Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho Bata k jao keh meri halat pe chandni khikhila pari to main kya karoon ga Bata k jao k meri soorat pe teergi muskara parri tou Main kiya karoon ga Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai Ujaarna hai? nikhaarna hai? Chalay jo ho tou bata kay jao kay loutna bhi hai ya................???????? | |
|
Romeo Best Friend
Number of posts : 1585 Registration date : 2007-12-13
| Subject: Re: Bicharne Walay... Thu Jan 03, 2008 4:20 am | |
| Main kiya karoon ga Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai Ujaarna hai? nikhaarna hai? Chalay jo ho tou bata kay jao kay loutna bhi hai ya................????????
...khoobsooret hey na....waise to jaane wala lota nhi kertey...mager kuch wapis aaja te hein...ur kuch baar baar wapis aate hei...mager aankhin un ko dekh nhi paati... | |
|