ApniAwaz Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


A Place To Be Proud Of - An Opportunity To Get-To-Gether In A Family & Friendly Atmoshphare
 
HomePortalGalleryLatest imagesRegisterLog inGames

 

 Ghareeb Baap

Go down 
2 posters
AuthorMessage
Khushboo

Ghareeb Baap Stars1
Khushboo


Female
Number of posts : 7996
Location : Venus
Registration date : 2007-07-25

Ghareeb Baap Empty
PostSubject: Ghareeb Baap   Ghareeb Baap Icon_minitimeFri Nov 23, 2007 9:09 pm

I know this is a poem but is meiN kahaani hai..aur bahut dukhi si..

Ghareeb Baap


Ghareeb Baap Ko Dekha Buhat Taras Aaya
Laga K Seenay Say Bachhon Ko Us Nay Samjhaya
Mujhay Pata Hai K Tu Nay B Kuch Nahin Khaya
Bata K Be Bassi Bachhon Ko Us Nay Behlaya

Kaha K Beta Malik K Paas Jaaon Ga
Tumharay Waastay Khanay Ko Rooti Laon Ga

Tumhari Maa B Safar Main Judda Hui Mujh Say
Main Apnay Dard Ki Faryaad Ab Karon Ki Say
Lehad Pay Ja K Tera Haal Main Kehon Us Say
Main Us Say Poochon Ga Naraz Kion Hui Tujh Say

Main Apni Halaat-E-Ghurbat Ussay Bataon Ga
Main Us Say Keh K Gaya Tha Dawai Laon Ga

Batao Baba Kia Wapas Na Amma Aaye Gi
Jo Pyaar Karna Ho Hum Ko Kahan Say Paye Gi
Kia Merey Waastay Rooti Nahin Banaye Gi
Woh Keh Rahi Thi Khilonay Humain Dilaaye Gi

Kaha Machal K Khilonay Ka Ab Na Bolay Ga
Khilonay Hum Hain Hum Hi Say Zamana Kheley Ga

Main Hoon Ghareeb Tujhay Kia Bataon Merey Laal
Ho Chand Paisey Tu Khana Le Aaon Merey Laal
Tera Naseeb Main Kaisey Sajaon Merey Laal
Tumhari Maa Ko Main Kaisey Bulaon Merey Laal

Bina Ilaaj K Hoti Na Woh Judda Mujh Say
Main Kia Jawab Doon Pochay Ga Jo Khuda Mujh Say

Seenay Pay Apnay Baap K Masoom So Gaye
Bahon Main Bahen Daal K Ghurbat Main Kho Gaye
Do Din Ki Bhook Say Woh Kamzoor Ho Gaye
Tanhai Apnay Baap Ki Kismat Main Bo Gaye

Baba Ka Pyaar Pa Kay Woh Nashaad Ho Gaye
Ghurbat Ki Is Zameen Say Woh Aazaad Ho Gaye

Kab Tak Laga K Seenay Say Bachay Sulaon Ga
Armaan Apnay Bachhon K Kab Tak Mitaon Ga
Khana Nahin Mila Tu Main Kaisey Jagaon Ga
Jhooti Tassalian Main Kab Tak Dilaon Ga

Us Ko Pata Nahin K Woh Barbaad Ho Gaya
Bachhon Ki Fikar-O-Sooch Say Aazaad Ho Gaya

Khilaon Kahan Say Rotti Main APnay Laal Ko
Rooti Khila Day Koi Merey Nou-Nay-Haal Ko
Haathon Say Nouchta Raha Woh Apnay Baal Ko
Chantay Laga Raha Tha Woh Apnay Gaal Ko

Rooti Kahan Say Laon Kuch Soojta Nahin
Haaye Meri Ghareebi Koi Poochta Nahin

Do Rooti Laya Bachhon Ko Bechara Badnaseeb
Shaanay Hila K Bachhon Say Kehnay Laga Ghareeb
Beta Tumhari Bhook Mitaon Ga An Qareeb
Harqat Na Ho Saki Tu Roonay Laga Ghareeb

Chaati Ko Peet Kar Woh Mitti Urra Raha Tha
Rooti K Tukray Un K Moo Say Laga Raha Tha

Bachhon Say Haath Joor Kar Bola Aye Merey Laal
Bachhon Merey Kion Kartay Nahin Tum Koi Sawal
Tum Ko Khilonay Laon Ga Uth Jao Merey Laal
Haathon Ko Choomta Tha Kabhi Choomta Tha Gaal

Mar Jaon Ga Main Tanha Agar Saath Na Raha
Tujh Ko Khilonay Laon Ga Baba Mujhay Keho

Lashay Urra K Bachhon Ki Be-Gor-Bay-Kafan
Maa Ki Lehad K Paas Unhain Kar Diya Dafan
Kaisey Louta Ghareeb Ki Ghurbat Ka Yeh Chaman
Lori K Badlay Bachhon Ko Deney Laga Nazam


Back to top Go down
https://apniawaz.forumotion.com
~Haya~

Ghareeb Baap Stars6
~Haya~


Female
Number of posts : 3306
Location : ~Chand par~
Registration date : 2007-08-03

Ghareeb Baap Empty
PostSubject: Re: Ghareeb Baap   Ghareeb Baap Icon_minitimeMon Nov 26, 2007 12:47 am

atni achi sharing ki hai aap nai Khushboo
really read kar k kuch honay laga hai
mujh apnay Khalu bhuat yaad aai hai
Thankx
Back to top Go down
Khushboo

Ghareeb Baap Stars1
Khushboo


Female
Number of posts : 7996
Location : Venus
Registration date : 2007-07-25

Ghareeb Baap Empty
PostSubject: Re: Ghareeb Baap   Ghareeb Baap Icon_minitimeTue Nov 27, 2007 6:32 pm

Thanks sis..khud bi parte huey dil hil geya tha Sad
Back to top Go down
https://apniawaz.forumotion.com
Sponsored content





Ghareeb Baap Empty
PostSubject: Re: Ghareeb Baap   Ghareeb Baap Icon_minitime

Back to top Go down
 
Ghareeb Baap
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Kanjoos Baap

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
ApniAwaz Forum :: 

Bazm-e-Adab & Languages

 :: Adab - Nasar & Kahanian :: Urdu Adab
-
Jump to: