ApniAwaz Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


A Place To Be Proud Of - An Opportunity To Get-To-Gether In A Family & Friendly Atmoshphare
 
HomePortalGalleryLatest imagesRegisterLog inGames

 

 DIL - aik afsana

Go down 
3 posters
AuthorMessage
~Haya~

DIL - aik afsana Stars6
~Haya~


Female
Number of posts : 3306
Location : ~Chand par~
Registration date : 2007-08-03

DIL - aik afsana Empty
PostSubject: DIL - aik afsana   DIL - aik afsana Icon_minitimeTue Nov 06, 2007 12:41 am

Aik mulk ki shehzadi behad haseen-o-jamil thi. Uskey husn ka shohra door door tak phaila huwa tha. Shoraa uskey husn-o-jamal key qaseedey likhtey they. Us dor key shujaa aur dolat mand key dil mein aik hi khawahish thi keh kisi tarha ussey us mah-jabeen ki zulfon ka ghaneera saya muyassar aa jaey. Kis tarha woh unkey dilon ki tarha unkey gharon par bhi raaj karey. Hazzaron aadmi chahney waley they aur badshah becharey key liye mushkil ho raha tha keh kis nawab key rishtey ko thukraey aur kissey inkaar aur kis key saath apni beti ka daman humesha key liye bandh dey.

Shehzadi ko apney chahney walon aur apney baap ki pareshaniyon ki matlaq parwaa nahin thi. Woh to apna dil dey baithi thi aur woh bhi aik aisey shakhs ko jo rutbey key aetbaar sey un ka humsar na tha lekin wajahat aur jismani quwwat key aetbaar sey woh bhi isi tarha be-masal tha, jaisey yeh haseena apney husn-o-jamal mein. Dono chori chhuppey mulaqatein kartey they. Dono aik doosrey key sath humesha key liye pemaan-e-wafa baandh chukey they. Lekin inhein matlaq yeh khabar na thi keh in key pyaar ki jannat in key liye jahanam baneney wali thi.

Aik roz woh jawan apni mehbooba sey milney aaya to us ka chehra fart-e-josh sey tamtmaa raha tha, kehney laga: "...jang chhirney wali hai aur main madar-e-watan key dafaa key liye jaa raha hoon".... Shehzadi ney kaha: "main tumhari judai kis tarha bardasht kar sakoon gi?".... kehney laga: "judai ka yeh bhari pathar to tumhein apney seeney par uthana hi hoga. Main to muddaton soch raha tha keh main koi aisa karnama anjaam doon keh jab tumharey walid-e-mohtaram sey tumharey rishtey ki darkhwast ley kar joun to woh meri darkhwast qabool lar lein. Ab is ka waqt aa geya hai. Main maidan-e-jang mein daad-e-shujaat doon ga aur sur-kharuu ho kar aaoun ga".... Shehzadi key gulabi rukhsaron par aansu behney lagey: "lekin agar tumhein kuchh ho geya to...... merey munh mein khaak.... to main kya karoon gi?"..... Woh muskraney laga aur bola "kya tumhein apni muhabbat par bharosa nahin. Tumhari muhabbat meri hifazat karey gi aur mujhey aanch na aaney dey gi"

Apni mehbooba ko tasaliyaan dey kar woh maidan-e-jang ki taraf sidhara. Udher Khuda ka karna yun huwa keh aik shehzadey ney us Shehzadi ki aik jhalak dekh li aur us par mar-mitta. Shaadi ka pegham foran bijhwaa diya. Badshah ney rishta qabool kar key shaadi ki tayyari shuru kar di. Bechari Shehzadi ki jaan par ban gei. Us ney aik qasad key haath apney mehboob ko pegham bheja keh woh jasiey bhi ho aa jaey, kyunkeh shaadi honey wali hai. Badqismati sey woh pegham shehzadey key haath lag geya. Woh Shehzadi ko kisi tarha khona nahin chahta tha aur uskey ishq ka bhi pattah chal geya tha. Us ney aik anokhi tarqeeb sochi keh yeh qissah humesha key liye khatam kar dena chahiye.

Apney aadmiyon sey kaha key woh us jawan ko qatal kar key uska dil nikal laein. Unho ney hukam ki tameel ki. Shehzadi ko jab apney mehboob ka koi jawab na milla to woh mayoos ho gai aur yun shehzadey sey shaadi ho gai.

Shaadi ki raat khaney par shehzadey ney aik khaas dish tayyar karwaee aur woh taab Shehzadi key samney rakh kar kaha: "Issey chakhiye, behad lazeez hai. Khaas aap key liye bnaee gai hai". Udher Shehzadi ney luqma uthaya aur udher us key munh sey cheekh nikli: "...yeh to merey mehboob ka DIL hai".... aur jaan dey di!!
Back to top Go down
Muskaan

DIL - aik afsana Stars6
Muskaan


Female
Number of posts : 4935
Age : 35
Location : ~Home Sweet Home~
Registration date : 2007-07-08

DIL - aik afsana Empty
PostSubject: Re: DIL - aik afsana   DIL - aik afsana Icon_minitimeSun Dec 02, 2007 6:47 pm

pale bichari shehzaadi.....
Back to top Go down
http://learningislam.self-dev.com
~Haya~

DIL - aik afsana Stars6
~Haya~


Female
Number of posts : 3306
Location : ~Chand par~
Registration date : 2007-08-03

DIL - aik afsana Empty
PostSubject: Re: DIL - aik afsana   DIL - aik afsana Icon_minitimeSun Dec 02, 2007 11:25 pm

Razz wohe na
Back to top Go down
Khushboo

DIL - aik afsana Stars1
Khushboo


Female
Number of posts : 7996
Location : Venus
Registration date : 2007-07-25

DIL - aik afsana Empty
PostSubject: Re: DIL - aik afsana   DIL - aik afsana Icon_minitimeTue Dec 04, 2007 5:27 am

OMG..thats so sad !

I hope ke yeh bas fictional ho na ke sach ..Sad
Back to top Go down
https://apniawaz.forumotion.com
Sponsored content





DIL - aik afsana Empty
PostSubject: Re: DIL - aik afsana   DIL - aik afsana Icon_minitime

Back to top Go down
 
DIL - aik afsana
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
ApniAwaz Forum :: 

Bazm-e-Adab & Languages

 :: Adab - Nasar & Kahanian :: Urdu Adab
-
Jump to: